Wednesday, May 30, 2018

!!Maine raat se pucha!!मैंने रात से पूछा!!

maine raat se pucha kya fir se aayegi subha meri jindgi mein
raat khil khila k has padi or kehne lagi
k subha bhi intzaar kar rahi hai mera
din k baad hi hota hai andhera
yu kashm a kash mein kyu pada re bande
har ujaale k baad aata hai andhera.
soch ka panchi bhi dhoondhe us subha ko
jiske aa jaane se ho jata hai savera.( V21)

मैंने रात से पूछा क्या फिर से आएगी सुबह मेरी ज़िंदगी में
रात खिलखिला के हस पड़ी और कहने लगी
के सुबह भी इंतज़ार कर रही है मेरा
दिन के बाद ही होता है अंधेरा
यू कशमकश मैं  क्यों पड़ा रे बंदे
हर उजाले के बाद आता है अंधेरा
सोच का पंछी भी ढूंढे उस सुबह को
जिसके आ जाने से हो जाता है सवेरा।

Monday, May 28, 2018

!!aankhe!! आँखें!!

aaknho ko dekh ra tha tumhaari
bahut udaas thi khumaari
lagta ho koi dil ki bimaari
kahaani ho ek tumhaari.

samjhte samjhte beet gyi sadiyaa
yu kahi choot na jaaye ye rasiya
jhilmil sa ho sitaaron ki taran
ab kuch kar lo thodi batiyaa

soch ka panchi bhi betha kuch kehne ko
ab kahi kho na jaaye ye ratiyaa( v21)

आंखों को देख रहा था तुम्हारी
बहुत उदास थी खुमारी
लगता हो कोई दिल की बीमारी
कहानी हो एक तुम्हारी

समझते समझते बीत गयी सदियाँ
यू कही छूट न जेर ये रसिया
झिलमिल से हो सितारों की तरह
अब कुछ कर लो थोड़ी बतियाँ।

सोच का पंछी भी बैठ कुछ कहने को
अब कही झो न जेर ये रतिया (v21)

Friday, May 18, 2018

!!Bachpan!! बचपन!!

bacha hota hain bachpan

suhaani hoti hai raahein

jaise khilne ko ho morr

tang galiyon ka  shore


            jisme sab mil jaayein

wo suhaani ci hai raahein


spno ka mehal

jaise kaanch ka ho sehar

wo khilti dhoop

mitti mein milte roop

asmaan ko chooti baahein

wo suhaani ci hai raahein


kanchon ki awaaz

jaise ho koi saaz

pairon ki aahat

ho maa ki pyaari c muskurahat

jaise saara aakaash mil jayein

wo suhaani ci hai raahein


soch ka panchi bhi hai kataaro mein

jhoomti bahaaron mein

bachpan ki gustaakhiyon mein

ghulta in galiyaron mein

jaise sab meet ho jayein

wo suhaani ci hai raahein


(v21)


Tuesday, May 15, 2018

!!Ateet!! अतीत!!

mera ateet us dhoondle aaiyne jaisa hai
jise yaad k darr bhi lagta hai

k kisi par na aaye aisa qehar.
jeene ko thi jindagi
rab se maangta tha khair.
jeete ji marne ki chaah thi
par himmat durust the mere pair.
jisse yaad kar ke darr bhi lagta hai

you logon k ishaaron par tha jeevan
jeevan jaise kaaton ka ho upvan.
ab bhi yaad aate hai wo pal
jab khel mein  bhi dikhta ta sunaapan.
us ateet se bichde kayi barson ho gye
par use yaad kar k darr bhi lagta hai.

kamiyon ka sailaab har ek mein tha
soch ka panchi bhi usi kataar ka hissa tha
un zakhmon k chedon ko kaun silta tha.
us dhoondle ayene mein kuch dikhai nahi deta hai
par use yaad kar k darr bhi lagta hai.

mera us aayine ko todne ka mann karta hai
khushiyon ko batorne ka man karta hai
koi le jaaye is dhoondlee tasveer ko
baad muddat apne ko dekhne ka man karta hai.
par use yaad kar k darr bhi lagta hai (v21)

Monday, May 14, 2018

!!milne ki aarzoo!!मिलने की आरज़ू!!

lagta hai emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai
dhadkan thami se jaa rahi hai
utsaah badne ko hai
emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai

badi sidat se yeh pad da uthega
chehra aur bhi haseen dikhega
gulaab ki pankhudiyaa khilne ko hai
emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai

aaj nasha sa chaa raha hai hame
kyu lagta hai waqt yahi par thamme
jaan khone ko hai
dil rone ko hai
emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai

(v21)

!!zindgi ke kuch hisse!! जिंदगी के कुछ हिस्से !!

pyaar dhoonda par na mila
satkaar maanga par na mila
kaaton k siwaaye kuch na mila
mile to bus zindgi k kuch hisse.

ham bhi ajeeb the
khuaishein rakhte gye
gumo ko gale lagaate rahe
barbaadiyon k aalam the
mile to bus zindgi k kuch hisse.

silsila u hi barkarar tha
himmat ka bhi kya jawaab taa
ik din soch ka panchi jaaga
dil ke armaan le k bhaaga
mile to bus zindgi k kuch hisse

thak ke haar gya jamaane se
na mile wo afsaane se
milo door ka safar abhi baaki hai
jindagi ka gujar jaana abhi baaki hai
abhi bhi doondh raha patton me patjadh
par mile to bus zindgi k kuch hisse (v21)

Sunday, May 13, 2018

!!sabar ka safar!! सबर का सफर !!

sabar ka safar bahut kam kyu hai
bechaini k aalam mein itna dam kyu hai
unse milne ki chaah hai par raaasta itna tang kyu hai
sabar ka safar bahut kam kyu hai

koi jaakar unhe batlaata kyu nahi
yaar bekraar hai ye samjhaata kyu nahi
unke dedaar e yaar ka man kyu hai
sabar ka safar bahut ka kyu hai

fool murjhaate gaye
patjhad rang laati gayi
ab koi ye bataade ein rango mein kami kyu hai
sabar ka safar bahut kam kyu hai

kab waqt aisa ayega
jab chand muskuraayega
bhawar foolon par mandraayega
soch ka panchi bhi tera ho jayega
yeh khel itna berang kyun hai
sabar ka safar bahut kam kyu hai
sabar ka safar bahut kam kyu hai (v21)

Saturday, May 12, 2018

!!pyaar mein bechaini!! प्यार में बेचैनी!!

jaisa dhaalna chahti ho dhal jaaunga
tumhaari yaad mein kafir bhi ban jaaunga
yu ruksat na kar apni jindgi se jeete jee hi mar jaaunga

pyaar ka matlab tab pata chala jab tu mujhse door hui
ek ek saans aise lagi jaise phool se mehak door hui
kaise bataau k main kitna tumhe chahta hun

kaise bataau k tumhe kitna chahta hun
bus ye hi shayeri mein apne dil ka haal sunaata hun
meri shayeri ko na samajh lena ek mazaak eh mere hamsafar
bhawra ban kar bhi roshni mein apne sapno ko jalaata hun

ho sake to is naaceez ko apna hum safar samajh lena
tumhaari muhbat mein apne dil k sab khwaab sajaata hun  (v21)

!!pyaar ka izhaar!!प्यार का इज़हार!!

jo likha hai sach hi likha hai
dil mein daba sa ek khwaab likha hai

kisi ki khamoshi kayi sawaal khade kar deti hai
jevan ki ye kahaani ek pahaad dekhaayi deti hai

par dard is seene mein bhi hai
jo umadte nahi
sawaal aise bhi hai jo bahar aate nahi
farak bas itna hai tum keh deti ho
hum dil se bahar laate nahi

tumko paane mein waqt jarur laga
deir se hi sahi waqt to laga

kuch baaton par tumhaara ruthna hamme pareshaan karta hai
par sab kuch jaante hue bhi pareshaani ka panna saaf hi dikhta hai

tumme kya buraai nikaalu buraai to mujh mein hai
dil aaj bhi tumhe chahta hai
dil kal bhi tumhe chaahta hai       (V21)

Thursday, May 10, 2018

!!Khwaab!!ख्वाब!!

aankhein khwaab dekhti hain.
kisi se mil jaane ka
ya khud k kho dene ka
tanhaa reh jaane ka
khud ko dukh dene ka
chaahat haar dene ka
aankhein khwaab dekhti hain

bichade hue lamho ka
kisi raaste par mil jaane ka
jakhmo k sil jaane ka
jamaane k gujar jaane ka
soch k panchi ka ho jaane ka
khwaab k haasil ho jaane ka

haqiqat kaa khwaab mein tabdeel hone ka
bhikre hue khwaabo k jud jaane ka
aankein khwaab dekhti hai

tum to khud hi ek khwaab ho
husan ka
jawaani ka
ek dard bhari kahaani ka
aankein khwaab dekhti hain

is khwaab ko tumne pura karna hai
mera ho jaane ka
pyaar badaane ka
mohbat mein fana ho jaane ka
is khwaab ko tumne pura karna hai

main apne dil se kehta hu
k main tumse bahut pyaar karta hun
tumhaare liye sab kuch lutaana chahta hun

kya is khwaab ko poora karogi
is chahat ko gale lagaane ka
dil ko samjhaane ka
kya is khwaab ko poora karogi

is choti c kavita ko kuch labzon mein viraam deta hun
main tmse bahut bahut pyaar karta hun(v21)

!!chand teri chandni!!चांद तेरी चांदनी!!

wa re chaand teri chandni
dil ko lubhaati hai
sapno ko jagaati hai
tujh ko bulaati hai
wa re chaand teri chandni
dil ko lubhaati hai

beni teri roshni k raat bhi adhuuri hai
tere paas aane mein meelo ki doori hai
deedaar ki pyaasi in aankhon ko itna tadpaati hai
wa re chaand teri chandni
dil ko lubhaati hai

suraj bhi dekhe to wo mand hi mand muskuraayega
samndhar bhi tujhe dekhe to thirkhaayega
soch ka panchi bhi tera ho jaayega
teri roshni sab ko itna bulaati hai
wa re chaand teri chandni
dil ko lubhaati hai

main bhi apne chand se milna chahta hun
apni doori ka ehsaas dilaana chahta hun
mujhe dekhte hi kahi wo chup jaati hai
wa re chaand teri chandni
dil ko lubhaati hai

(v21)

वाह रे चांदनी तेरी चांदनी
दिल को लुभाती है
सपनों को जगाती है
तुझ को बुलाती है
वाह रे चाँद तेरी चांदनी
दिल को लुभाती है
बिन तेरे रात भी अधूरी है
तेरे पास आने में मीलों की दूरी है
दीदार की प्यासी इन आँखों को उतना तड़पाती है
वाह रे चाँद तेरी चांदनी
दिल को लुभाती है
सूरज भी देखे तो मंद ही मंद मुस्कुराएगा
समंदर भी देखे तुझको तो थिरकायेगा
सोच का पंछी भी तेरा हो जाएगा
तेरी रोशनी सब को इतना बुलाती है
वाह रे चाँद तेरी चांदनी
दिल को लुभाती है
मैं भी अपने चांद से मिलना चाहता हूँ
अपनी दूरी का एहसास दिलाना चाहता हूं
मुझे देख के कही वो छुप जाती है
वाह रे चाँद तेरी चांदनी
दिल को लुभाती है

pyaar te satkaar

langhya sama na waapis aanda kyu supne di gal karda , apna aj saawro ehi ardaas karda evein mitti nahi karida kise de ehsaana nu na kad...