lagta hai emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai
dhadkan thami se jaa rahi hai
utsaah badne ko hai
emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai
badi sidat se yeh pad da uthega
chehra aur bhi haseen dikhega
gulaab ki pankhudiyaa khilne ko hai
emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai
aaj nasha sa chaa raha hai hame
kyu lagta hai waqt yahi par thamme
jaan khone ko hai
dil rone ko hai
emtehaan ki ghadiyaa khatam hone ko hai
(v21)
No comments:
Post a Comment