jaisa dhaalna chahti ho dhal jaaunga
tumhaari yaad mein kafir bhi ban jaaunga
yu ruksat na kar apni jindgi se jeete jee hi mar jaaunga
pyaar ka matlab tab pata chala jab tu mujhse door hui
ek ek saans aise lagi jaise phool se mehak door hui
kaise bataau k main kitna tumhe chahta hun
kaise bataau k tumhe kitna chahta hun
bus ye hi shayeri mein apne dil ka haal sunaata hun
meri shayeri ko na samajh lena ek mazaak eh mere hamsafar
bhawra ban kar bhi roshni mein apne sapno ko jalaata hun
ho sake to is naaceez ko apna hum safar samajh lena
tumhaari muhbat mein apne dil k sab khwaab sajaata hun (v21)
No comments:
Post a Comment