Tuesday, May 15, 2018

!!Ateet!! अतीत!!

mera ateet us dhoondle aaiyne jaisa hai
jise yaad k darr bhi lagta hai

k kisi par na aaye aisa qehar.
jeene ko thi jindagi
rab se maangta tha khair.
jeete ji marne ki chaah thi
par himmat durust the mere pair.
jisse yaad kar ke darr bhi lagta hai

you logon k ishaaron par tha jeevan
jeevan jaise kaaton ka ho upvan.
ab bhi yaad aate hai wo pal
jab khel mein  bhi dikhta ta sunaapan.
us ateet se bichde kayi barson ho gye
par use yaad kar k darr bhi lagta hai.

kamiyon ka sailaab har ek mein tha
soch ka panchi bhi usi kataar ka hissa tha
un zakhmon k chedon ko kaun silta tha.
us dhoondle ayene mein kuch dikhai nahi deta hai
par use yaad kar k darr bhi lagta hai.

mera us aayine ko todne ka mann karta hai
khushiyon ko batorne ka man karta hai
koi le jaaye is dhoondlee tasveer ko
baad muddat apne ko dekhne ka man karta hai.
par use yaad kar k darr bhi lagta hai (v21)

No comments:

Post a Comment

pyaar te satkaar

langhya sama na waapis aanda kyu supne di gal karda , apna aj saawro ehi ardaas karda evein mitti nahi karida kise de ehsaana nu na kad...