jo likha hai sach hi likha hai
dil mein daba sa ek khwaab likha hai
kisi ki khamoshi kayi sawaal khade kar deti hai
jevan ki ye kahaani ek pahaad dekhaayi deti hai
par dard is seene mein bhi hai
jo umadte nahi
sawaal aise bhi hai jo bahar aate nahi
farak bas itna hai tum keh deti ho
hum dil se bahar laate nahi
tumko paane mein waqt jarur laga
deir se hi sahi waqt to laga
kuch baaton par tumhaara ruthna hamme pareshaan karta hai
par sab kuch jaante hue bhi pareshaani ka panna saaf hi dikhta hai
tumme kya buraai nikaalu buraai to mujh mein hai
dil aaj bhi tumhe chahta hai
dil kal bhi tumhe chaahta hai (V21)
No comments:
Post a Comment